so anthr post...
ths s frm my old pages...
m talking abt.. dr. kumar vishwas.. a vry famus poet...
with damn gud poems....
he visitd our cmpus in our annual fest..KOLAAHAL'08..
n ths poem(actlly shayari) z evry1s fav..(mine 2..;) )
it says abt d sweet love one still admires... evn aftr.. dat love hs gone...
ull also lyk it..(vry close 2 my heart)....,
title: koi deewana kehta hai.....
Koi deewana khta hai,koi pagal samjhta hai,
magar dharti ki bechaini ko bas badal samjhta hai.
mai tjhse dur kaisi hun tu mjhse dur kaisi hai,
ye tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai.
Mohabbat 1 ehsaso ki pawan si kahani hai,
kabhi kabira deewana tha kabhi meera deewani hai.
yaha sb log khte hai meri akhon me aansu hai.
jo tu samjhe to moti hai jo na samjhe to pani hai.
Swayam se dur ho tm bi,swayam se dur hai hm bi.
bahut mashrur ho tm bi,bahut mashrur hai hm bi.
bade magrur ho tm bi,bade magrur hai hm bi.
atah majbur ho tm bi,atah majbur hai hm bi.
Mai uska hun,wo is ehsas se inkar karta hai.
bhari mahfil me ruswa,mjhe har bar karta hai.
yakin hai sari duniya ko,khafa hai mjhse wo lekin
mjhe malum hai phir bi, mjhi se pyar karta hai.
Jo dil haara hua ho, uspe adhikar kyu krna
Panaho mein jo aaye, uspr vaar kya karna
Muhabbat ka maza to dubne ki kashmakash mein hai
Jo ho malum gehraai, to dariya paar kya krna
Bhrawar koi kumudni pr machal betha to hungama
Humare dil m koi khwab pal betha to hungama
Abhi tk dubkr sub sunte the kissa muhabbat ka
Main kisse ko haqiqt mein badal betha to hungama.
Samandr peer ka hai andar, magar ro nhi skta
Ye aansu pyaar ka moti hai isko kho nhi skta
Meri chahat ko dulhan bana lena , magar sun le
Jo mera ho nhi paya wo tera ho nhi skta
Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahi paaya,
Hawaaon ke ishaaron par magar main beh nahi paaya,
Adhoora an suna hi reh gaya youn pyaar ka kissa,
Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi main keh nahin paaya
Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain,
Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain,
Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain,
Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain
sazi hai khushnuma mehfil sabhi dildaar bethe hain
jidhar dekho udhar hi ishq ke bimar bethe hain
hanseeno ki adaon pe sabhi dil haar bethe hain
hazaron mar-mite aur sekron tayaar bethe hain.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment